Rainy Season related English Sentences, Phrases | Hindi to English

Rainy Season related English Sentences, Phrases | Hindi to English

GUYS Aaj IS POST me hum janenge " monsoon yani Rainy Season Barish ke mausam me bole jane wale
 ( बारिश के मौसम में बोले जाने वाले) English sentences aur words aur phrases ke bare me.
ye sentences jo ki main aapko batane wala hun ye bahut hi common hain aur ye aksar hum use karte hain. toh inhe hum english me kaise bolte hai ye jarur jaan lena chahiye, toh chaliye guys start karte hai.

1) आज बारिश होने की संभावना है।
(aaj barish hone ki sambhavna hai.)
It's likely to rain today.

2) क्या बाहर बारिश हो रही है ?
(kya bahar barish ho rahi hai?)
Is it raining outside?

3) क्या अभी भी बाहर बारिश हो रही है ?
(kya abhi bhi bahar barish ho rahi hai.)
Is it still raining outside?

4) चलो अंदर चलते है, बारिश शुरू हो रही है।
(chalo andar chalte hain,baarish shuru ho rahi hai.)
Let's go inside; it's starting to rain .

5) बारिश रुक गयी है ,चलो बाहर चलते है।
(barish ruk gayi hai, chalo bahar chalte hain.)
It has stopped raining, 
Let's go outside.

Ise hum kabhi kabhi istarhase bhi bolte hai ki,

6) बारिश नहीं हो रही है, चलो बाहर चलते है।
(barish nahi ho rahi hai, chalo bahar chalte hain.)
It's not raining anymore, Let's go outside.

7) मै बारिश से भीग गया हूँ।
(mai barish se bheeg gaya hoon.)
I got drenched by the rain. OR
I got soaked by the rain.
Drenched aur soaked ka matlab hota hai भीगना (bhigna).

8) आज मौसम कैसा है ?
(aaj mausam kaisa hai?)
How is the weather today?

9) बहार मौसम कैसा है ?
(bahaar mausam kaisa hai? )
How is the weather outside ?
Weather kaa matlab hota hai मौसम (mousam).

10) बहार थोड़ी बारिश है।
(bahaar thodi barish hai.)
It’s a little rainy outside.

11) बस थोड़ी बूंदा बांदी हो रही है।
(bas thodi boonda baandi ho rahi hai.)
It’s just drizzling .

Aasman se agar halki fulki barish hoti hai yani chote chote barish ke bunde girte hai to unhe hum "drizzling" Kahte hai.
yaa aap ise,
“It’s just spitting a little. Bhi kah sakte ho.spitting jo hey vo drizzling se bhi kam hota hai .yani bahut hi chote chote barish ke bunde aasman se girne ko hum "spitting" kahte hai.


12) ये तो सिर्फ बूंदा बांदी है, मै वाक करने बाहर जा रहा हूँ।
(ye to sirf boonda baandi hai,main walk karne bahaar jaa raha hoon.)
"I'm going out for a walk. It's only drizzling.

13) बहुत तेज बारिश हो रही है।
(bahut tez barish ho rahi hai.)
It's raining heavily.Ya ise aap It’s pouring bhi kah sakte ho.

Agar barish bahut jyada yani had se bhi jyada tej hoti hai tho tho ise aap english me "It's raining heavily" khane ke bajay, aap niche diye gaye phrases kabhi use kar sakte ho.

'It's pouring down' OR It’s Bucketing down.
“It’s chucking it down “
“It’s really coming down out there!”
“The Heavens open”

It's raining cats and dogs. ye ek idiom hai aur ye jyadatar school books me dikhai dega.lekin ye jyada bola nahi jata hai.

Tho बहुत ज्यादा तेज बारिश हो रही है.(bahut zyada tez barish ho rahi hai. ) Ise aap English me kisko kahane liye aap upar diye gaye phrases me se kisi ka bhi use kar sakte ho.


14) ये एक आंधी तूफान है।
(ye ek aandhi toofan hain. )
It’s a thunderstorm.

THUNDER iska matlab hotha hai बिजली की आवाज़ (bijli ki awaz) yani गड़गड़ाहट (gadgadahat) Ko hum English mai thunder kahte hai aur iske sath sath बिजली की (bijli ki)flash yani रोशनी((roshni) ko hum Lightning kahte hai.

15) ये एक ओलो का तूफान है।
(ye ek olo ka toofan hai.)
It’s a hail storm.

Hails ka matlab ओले (ole)
Jab aasman se barf ke tukde yani ole girte hai to use hum hail storm kahte hai.

16) मै मूसलाधार बारिश (तेज बारिश) में फंस गया हूँ।
(mai musladhar barish me fas gaya hoon.)
I am stuck in the downpour .

17) माफ़ करना मै लेट हो गया क्योंकि बहुत तेज बारिश हो रही थी।
(maaf karna mai late ho gaya kyon ki bahut tez barish ho rahi thi.)
I am sorry I am late because it was bucketing down.

18) मेरे कपडे भीग गये है क्योंकि बाहर बहुत तेज बारिश हो रही है।
(mere kapde bheeg gaye hain kyon ki bahar bahut tez barish ho rahi hai.)
"My clothes are soaked because it is pouring rain outside."

19) देखो बाहर बारिश हो रही है।
(dekho bahar barish ho rahi hai.)
Look, it's raining outside .

20) बारिश होने वाली है।
(barish hone wali hai.)
It’s going to rain. OR
It’s gonna rain.

21) अपना छाता ले लो .एसे लग रहा है की बारिश होने वाली है.
(apna chaat lelo . aisa lag raha hai i barish hone wali hai.)
“Take your umbrella. It looks like it’s going to rain.”

22) क्या कल बारिश होगी ?
(kya kal barish hogi ?)
Will it rain tomorrow?

Is sentence ko hum kabhi kabhi is tarah bhi kahte hai ki,

23) क्या कल बारिश होने वाली है ?
(kya kal barish hone wali hai?)
Is it going to rain tomorrow ?

24) कल बारिश कितने बजे होगी ?
(kal barish kitne baje hogi ?)
What time will it rain tomorrow ?

25) मुझे बारिश बहुत पसंद है।
(mujhe barish bahut pasand hai.)
I love the rain .

agar aapko barish pasand nahi hai toh aap keh sakte ho ki,

26) मुझे बारिश पसंद नहीं है।
(mujhe barish pasand nahi hai.)
I hate the rain .

27) मुझे बारिश के दिन बहुत पसंद है।
(mujhe barish ke din bahut pasand hai.)
I love rainy days .

agar aapko barish ke din pasand nahi hai toh aap keh sakte ho ki,

28) मुझे बारिश के दिन पसंद नहीं है।
(mujhe barish ke din pasand nahi hai.)
I hate rainy days .

29) मै फुटबॉल नहीं खेल सकता क्योंकि बाहर बारिश हो रही है।
(main football nahi khel sakta kyunki bahut barish ho rahi hai. )
I can't play football, because it's raining outside.

30) दिन भर से बारिश रुक रही है और शुरू हो रही है।
(dinbhar se barish ruk rahi hai aur shuru ho rahi hai.)
“It’s been raining on and off all day.”

31) 3 दिन से लगातार बारिश हो रही है।
(3 din se lagatar barish ho rahi hai.)
It’s been raining non-stop for 3 days! OR
It’s been raining for 3 days straight!

Also watch this video to learn more .
       
Rainy Season related English Sentences, Phrases | Hindi to English
Click Here To Download " Rainy Season Related English sentences, Phrases, Words " PDF file

Comments

You are welcome to share your ideas with us in comments

Archive

Contact Form

Send