Phrasal Verbs Meaning, Definition With Examples | Hindi to English

Phrasal Verbs Meaning, Definition with Examples:

GUYS, IS POST me hum janenge "phrasal verbs" ke bare me, Phrasal verb ka meaning Kya hota hai aur ENGLISH bolte samay Inhe KAB AUR KAISE USE KARNA HAI aaj hum is post me janenge.
Toh chaliye guys start karte hai,

Phrasal verb:

Phrasal verb ek aisa “compound verb” hota hai,
jo ki ek “main verb” aur “adverb” se milne par banta hai.
Main verb + Adverb = phrasal verb. OR

Ek “main verb” aur “preposition” se milne par banta hai.
Main verb + preposition = phrasal verb. OR

Ek “main verb” aur “adverb” aur “preposition” se milne par banta hai.
main verb+adverb + preposition = phrasal verb.

Agar sidhi bato me kahu to phrasal verb ek aisa compound verb hai jo ki kuch words aapas me ek saath milne par banta hai.
aur ye english me bahut common aur important hothe hey, inhe jyadatar informal english me use karte hai.
Formal language me phrasal verbs ko kam use kiya jata hai.
agar aap koi formal document, essay wagera likh rahe ho tho tho phir phrasal verbs ko kam se kam use karne ki koshish kijiye kyonki inhe formal language me use karna thik nahi mana jata hai.


Chaliye main aapko kuch phrasal verbs ke examples deta hoon taki aap aur achi tarah se samajh sake.

Toh pehle phrasal verb hai,

1) Put off :
Put + off milkar ban jata hai put off. yani hindi me iska matlab hota hai टालना।.
kisi kaam ko der kar dena yani koi kaam ko Ek samay se dusre samay ko change karna.
English me ise Postpone bhi kahte hai.

Put + off ( verb + adverb) = put off = टालना। postpone ( to do something lately).

Yaha Par aap dekh sakte put ek “main verb” hai aur iska hindi me arth hota he “रखना। ” “off” ek “adverb” hai jiska hindi me arth hota he “बंद। ”.
Tho ye 2 words aapas me ek saath milkar ek compound verb ban gaye hai jinhe hum English me phrasal verb kahate hai.
aapko ye dono words ke meaning par koi dhyan nahi dena chahiye kyonki jab ye milkar phrasal verb ban jate hai tho iska meaning completely change hota hai.


Chaliye iske upar mai apko ek sentence banakar dikhata hoon.

Example :
  • We will have to put off the meeting until next month.
  • हमें मीटिंग को आगले महीने तक टालना पड़ेगा।
  • (hame meeting ko agle mahine tak talna padega.)
2) Put on.
Put + on milkar ban jathe hay “put on” iska matlab hota hai पहनना।
Yaha Par put ek “main verb” hai aur on ek “preposition” hai.

Chaliye ek sentence dekhte hai.
Put + on (verb + preposition)=put on =to wear. पहनना।

Example :
  • You should put on your new dress for the party.
  • तुम्हे पार्टी के लिए नया ड्रेस पहनना चाहिए।
3) put up with.
Put + up +with (verb+adverb+preposition)=put up with . 
Put up with = सहना। (sahna),or सहन करना।(sahan karna) to tolerate.

Example:
  • Though you do not like his behavior, try to put up with him.
  • हालांकि तुम्हे उसका बर्ताव पसंद नहीं है फिर भी उसे सहने की कोशिश करो।
  • (halki tumhe uska bartav pasand nahi hai phir bhi use sehne ki koshish karo.)
Aur kuch phrasal verbs ke examples hai jaise ki wake up aur get up.
Ye Bhi phrasal verbs hai.
“Wake” aur “up” milkar ban jata hai “wake up”.
Hindi me iska matlab hota hai nind me se jaagna.
Wake + up = wake up.

Example:
  • I woke up at 6am.
  • मै 6 बजे जागा।
  • (mai 6 baje jaaga.)
Aur iske sath get aur up milkar banta he get up ( yani uth jana )
Get + up= get up.

Example:
  • I got up at 7am.
  • मै 7 बजे उठा।
  • (mai 7 baje utha.)
Aur ek baat aap yaha pe dhyan me rakhne ki phrasal verb ka meaning situation ke anusar badal jatha jatha hey.
mera kehne ka matlab ye hai ki ek phrasal verb ko ek se bhi jyada meanings yani multiple meanings hote hai .lekin hame unhe situation ke anusar use karna hota hai.
Jaise ki,


Example.
Pass out = to faint = बेहोश हो जाना। (behosh ho jana.)

Ek sentence dekh lete hey,
  • Sita passed out due to sunstroke.
  • सीता ज्यादा तेज धूप लगने के कारण बेहोश हो गयी।
  • (sita zyada tez dhoop lagne ke karan behosh ho gayi. )
Passed out ye pass out ka past form hai.

Jaise Ki maine kaha pass out ka matlab hota hai behosh hona lekin iska aur ek matlab hota hai बांटना। (baantnaa).yani distribute karna.
Pass out = to distribute. बांटना।(baantnaa) yani kuch distribute karna .

Example:
  • I’ll pass out copies of the report.
  • मै रिपोर्ट के copies बांट दूंगा।
  • (mai report ke copies baant dunga.)
Tho is tarah ek phrasal verb ko ek se bhi jyada arth hote he.
Aur ek important baat mai aapko bata deta hoon ki, Jab aap kisi phrasal verb ko dekhte ho tab Aapko ye bilkul bhi dhyan nahi dena hai ki ye kya ye phrasal verb, “verb” aur “adverbs” se bana hai ya “verb” & “preposition” se bana hey ya verb&adverb&preposition se bana hai, aur sath hi sath jo words ke karan phrasal verb bana hey unke words ka meaning kya hai ye bilkul bhi aapko dhyan me nahi rakhna hai.
aapko sirf itna pata hona chaye ke kuch words milkar ek phrasal verb ban jata hai aur ek naya meaning form karte hai.

Tho guys aab aap samajh gaye honge ki phrasal verbs kya hai aur inhe english me kab aur kaise use kiya jata hai. tho aaj sehi aap phrasal verbs ko English me bolte samay use karna start kijiye kyonki phrasal verbs causal English conversation me aur fluent english bolne me bahut helpful hote hai.
tho guys inhe jarur use kijiye aur apni English ko aur bhi jyada improve aur advance banane ki koshish kijiye.

What are Phrasal Verbs | Definition, Meaning With Examples | Hindi to English
What are Phrasal Verbs | Definition, Meaning With Examples | Hindi to English


Comments

You are welcome to share your ideas with us in comments

Archive

Contact Form

Send