English me Time समय kaise bataye | How to tell Time

English Me Time Kaise Bataye, How to say Time in English

English me Time समय kaise bataye:

Guys, bahut se log nahi jante ki English me Time kaise bataye. tho yah post un sabhi ke liye hai jo log english me time batana chahte hai aur apni english improve karna chahte hai. is post me sabhi time sentences ko hindi to english me bataya gaya hai taki apko in sentences ko sikhne me asani ho, tho chaliye shuru karte hai,

1) कितने बजे हैं? (kitne baje hain?) OR
क्या समय हुआ हैं? (kya samai hua hain?)
What time is it? OR What is the time?

2) अभी कितने बजे हैं? (abhi kitne baje hain?) OR
अभी कितना समय हुआ हैं? (abhi kitna samay hua hain.)
What time is it now?

3) वहाँ अभी क्या समय हो रहा हैं? (vahan abhi kya samay ho raha hain?)
What time is it over there right now?

4)अमेरिका में अभी कितना समय हो रहा हैं? (america me abhi kitna samay ho raha hain? )
What time is it in America right now?

तो चलिए आब समय को English में कैसे बताना हैं वो जान लेते हैं।. (Tho chaliye ab samay ko English me kaise batana hain vo jaan lete hain.)

5) 4 बज रहे हैं। (4 baj rahe hain.)
It’s 4 o’clock.

6) श्याम के 4 बज रहे हैं। (shyam ke 4 baj rahe hain.)
It’s 4:00 P.M

7) सुबह के 4 बज रहे हैं। (subah ke 4 baj rahe hain.)
It’s 4:00 A.M

AM और PM का उपयोग:
  • AM (Ante Meridiem): रात के 12 बजे से लेकर दोपहर के 12 बजे से पहले तक के समय के साथ हम 'AM' लगाते हैं। (Raat ke 12 baje se lekar dopahar ke 12 baje se pahale tak ke time ke saath hum 'AM' lagate hain.)
  • PM (Post Meridiem): दोपहर के 12 बजे से लेकर रात के 12 बजे से पहले तक के समय के साथ हम 'PM' लगाते हैं। (aur dopahar ke 12 baje se lekar raat ke 12 baje se pahale tak ke time ke saath hum 'PM' lagate hain.)
8) 4 बज कर 5 मिनट हुए हैं। (4 baj kar 5 minute hue hain.)
It’s 5 past four. OR It’s 4:05

9) 4 बज कर 10 मिनट हुए हैं। (4 baj kar 10 minute hue hain.)
It’s 10 past 4. OR It’s 4:10

10) 4 बज कर 15 मिनट हुए हैं। (4 baj kar 15 minute hue hain.)
It’s quarter past 4. OR It’s quarter after 4. OR It’s 4:15.

11) 4 बज कर 20 मिनट हुए हैं। (4 baj kar 20 minute hue hain.)
It’s 20 past 4. OR It’s 4:20.

12) 4 बज कर 25 मिनट हुए हैं। (4 baj kar 25 minute hue hain.)
It’s 25 past 4. OR It’s 4:25.

13) 4 बज कर 30 मिनट हुए हैं। (4 baj kar 30 minute hue hain.)
It’s half past 4. OR It’s 4:30.

14) 4 बज कर 35 मिनट हुए हैं। (4 baj kar 35 minute hue hain.) OR
5 बजने में 25 मिनट बाकी हैं। (5 bajne me 25 minute baaki hain.)
It’s 25 to 5. OR It’s 4:35.

15) 4 बज कर 40 मिनट हुए हैं। (4 baj kar 40 minute hue hain.) OR
5 बजने में 20 मिनट बाकी हैं। (5 bajne me 20 minute baaki hain.)
It’s 20 to 5. OR It’s 4:40.

16) 4 बज कर 45 मिनट हुए हैं। (4 baj kar 45 minute hue hain.) OR
5 बजने में 15 मिनट बाकी हैं। (5 bajne me 15 minute baaki hain.)
It’s quarter to 5. OR It’s 4:45.

17) 4 बज कर 50 मिनट हुए हैं। (4 baj kar 50 minute hue hain.) OR
5 बजने में 10 मिनट बाकी हैं। (5 bajne me 10 minute baaki hain.)
It’s 10 to 5. OR It’s 4:50.

18) 4 बज कर 55 मिनट हुए हैं। (4 baj kar 55 minute hue hain.) OR
5 बजने में 5 मिनट बाकी हैं। (5 bajne me 5 minute baaki hain.)
It’s 5 to 5.OR It’s 4:55.

19) 5 बज रहे हैं। (5 baj rahe hain.)
It’s 5 o’clock.

watch this video to Learn more:


You may also Like:
Conclusion:
Guys ab apne jaana hoga ki english me time kaise batate hain, in time sentences ko aap daily practice kare aur apne daily life me english conversation karte samay inhe jarur use kare. ummid karta hoon apko yah post useful lagi hogi, agar useful lagi ho tho is post ko apne english sikhne wale partner ke sath share jarur kare.


Comments

  1. It's amazing , best plateform for learning English language for true learner, a lot of thank you sir for providing best content or study material.

    ReplyDelete
  2. You worked hard for that. Keep it up Bro!!

    ReplyDelete
  3. really useful for those who want to practice using correct grammar in their daily conversations

    ReplyDelete
You are welcome to share your ideas with us in comments

Archive

Contact Form

Send